Ba-Wazu Sayee karna Kaisa Hai?
Mas’Ala: Mustahab Yah hai ki Ba-Wazu Sayee kare Aur Kapda bhi paak ho Aur Badan Bhi Har Kism ki ajasat (Napaaki) se paak ho Aur Sayee Shuru karte waqt Niyat karle. Ek Jaruri Nasihat: Baaz Aurato ko Main e Dekha Hai ki Niyat Be-baaki se Sayee karti hai ki Unki Kalaiyaan Aur Gala khuka Rahta hai Aur Yah Khayaal Nahi ki Makka-E-Mu’Azzama me Ma’Siyat (Gunah) karna Nihayat sakhat Baat hai ki Yahaan Jis Tarah 1 Neki 1 laakh ke Barabar hai. Yoonhi 1 Gunah Lakh ke Barabar. Balki Ka’aba E Muazzama ke Samne bhi Yah Jahil Aurate Isi Halat se Rahti Hai. Balki Isi Halat me Tawaf karte Dekha hai. Haalanki Tawaf me Satr ka Chupana Hamesha Farz Hone ke Alawa Wajib Bhi Hai. To Farz Dusre waajib ke Tarq se do gunah kiye wah bhi kaha Baitullah ke Saamne Aur Khaas Tawaf ki Halat me. Balki Baaz Be Haya Aurate Tawaf karne me Khususan Hazre Aswad ko Bosa dene me mardo me Ghus jaati hai. Unka Badan mardo ke badan se mas hota Rahat hai. Magar Unko Iski Kuch parwah ahi. Halaanki Tawaf Ya Bosa-e-hazre Aswad wagaira huma sawab ke liye kiya jaata hai. Magar wah Be-Gairat Aurate Sawab ke Badle Gunah mool leti hai. Lehaza in baato ki Taraf Haajiyoon ko khususiyat ke saath Tawajjoh karni Chahiye Aur unke Saath jo Aurate Ho. Sakhti ke Saath Aisi harkato se mana karna chahiye warna khud mard bhi gunahgaar honge. Bahare sharee’at Hissa 06 Safa 61,62 n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—