Wahabi Deobandi Ke Peeche Namaz Padhna Kaisa Hai?
Wahabi Deobandi ke Aqide Qufri Hai. Maslan Un Logo ka Aqida Yah Hai Ki Jaisa Ilm Huzoor ﷺ Ko Hasil Hai Aisa Ilm To Baccho, Paagalo Aur Jaanwaro ko Bhi Haasil Hai. Jaisa ki Unke Peshawa Molavi Asharf Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Thaanvi Ne Apni Kitaab Hifzul Imaan Me Safa No 8 par Huzoor ﷺ Ke Liye Kul Ilme Gaib Ka Inkaar karte Huye Sirf Baaz Ilme Gaib Ke Baare Me Yoon Likha Hai. Ki “Is me Huzoor ki Kya Takhsi Hai Aisa Ilm To Zaid wa Umar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Balki Har Sabi ( Bachha ) Majnun Balki Jamee’a Haiwanaat wa Bahaayam Ke Liye Bhi Haasil Hai” Maaz’Allahhil Rabbil Aalameen Isi Tarah Un ke Peshawao ki Kitaabo me Bahut Se Qufri Aqeede Hai. Jinnhe Wah Haq Maante Hai. Isiliye Unke Peechhe Namaz Padhna Naajayez Wa Gunah Hai. Agar Kisi e Galti se Padhli ho to Phir se Padhe. Agar Dobaara Nahi Padhega To Gunahgaar Hoga. Bahar-e-Shari’At Anwaare Shari’At Safa 69,70 n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—