Masail

Kya Islam Mein Khatna Karwana Zaruri Hai?

Agar Hai To Kitna Umar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Mein Karwana Chaiye Aur Khatne Ke Bare Mein. Hamare Aaqa Salallahu Alaihi Wasallam Kya Farmate Hai? Jawab: Khatna Sunnat Hai Aur Ye Shi?aar E Islam Mein Hai Ke Muslim Aur Gair Muslim Mein Isse Imtiyaaz Hota Hai. Isi Liye Awaam Me Ise Musalmaani Bhi Kehte Hain. Sahih Bukhari O Muslim Mein Abu Huraira Radi-Allahu Ta?ala Anha Se Marwi Ke Rasoolullah ﷺ ? Ne Farmaya Ke: Khaleelullah Alayhis Salaatu Wassalam Ne Apna Khatna Kiya Us Waqt Unki Umr Shareef 80 Baras Ki Thi. Khatna Ki Muddat 7 Saal Se 12 Saal Ki Umr Tak Hai Aur Baaz Ulama Ne Ye Farmaya Ke Wiladat Se 7we Din Ke Baad Khatna Karna Jaayez Hai. Khatna Karaana Baap Ka Kaam Hai. Wo Na Ho, To Uska Wasi, Uske Baad Dada, Phir Uske Wasi. n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button