Masail

Hinda 60 Saal Ki Hai Aur Apni 40 Saala Beti Ke Saath Umrah Ke Liye Jaane Ka Iraada Rakhti Hai.

Dono Akele Hai Koi Mehram Nahi Hai. Tours Wala Kehta Hai 5000 Rs Zaaid Dene Par Woh Log Mehram Ka Intezaam Kar Denge. Kya Aisa Jaana Durust Hoga? ANSWER Agar Tours Wale Ne Kisi Aise Mard Ka Intezaam Kiya Jo In Dono Ka Shar?ee Mahram Hai. Yani Us Mard Se In Dono Auraton Ka Nikaah Hamesha Ke Liye Haraam Hai. Maslan Baap, Beta, Pota, Nana, Dada, Chacha, Mamu Wagairah To Is Soorat Mein Ye Auraten Us Mard Ke Saath Umrah Wagairah Ke Safar Pe Jaa Sakti Hai. Aur Agar Tours Wale Ne Kisi Ajnabi Mard Ko Farzi Maharam Naamzad Kar Diya To Us Ajnabi Mard Ke Saath In Auraton Ko Umrah Wagaira Ke Safar Mein Jaana Jaayez Nahi. n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button