Agarche Parindo(Birds) Ko Palna Jayez Nahi Hai.
Fir Bhi IsKe Rewaj Bahot Purana Hai. Log Iska Shauk Rakha. Ye Jayez Nahi Hai Is Baat Ki Dalil Kiya Hai? ANSWER Agar Parindo Ko Takleef Na De Aur Uske Khane Peene Ka Khoob Dhiyan Rakhe. Khane Peene Wagairah Me Kuchh Kami Na Kare To Jaayez Hai. Aala Hazrat Azeemul Barakat Parinde Wagairah Ke Paalne Ke Baare Me Farmate Hai. Jaanwaraan E Khangi Misl Kharoos O Makiyan O Kabootar E Ahli Wagairah Paalna Bilaa Shubah Jaayez Hai. Jabke Unhe Eeza Se Bachaye Aur Aab O Dana Ki Kafi Khabar Giri Rakhe. Magar Khabar Giri Ki Ye Taakeed Hai Ke Din Me 70 Dafa Dana Paani Dikhaye. Warna Paalna Aur Bhooka Pyasa Rakhna Sakht Gunah Hai. n(Fatawa Razviyya Jild 9 Hissa 1 Safa 71) Mazkoorah Paabandi Ke Saath Tota, Bulbul Wagairah Bhi Paalna Jaayez Hai. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—