Masail

Shohar Agar Biwi Ko Baat Baat Par Zaleel Kare Aur Uski Bilkul Parvah Na Kare.

Biwi Apna Ghar Bachana Chahti Hain. Toh Aise Haal Mein Biwi Ko Kaise Jeena Chahiye. ANSWER Biwi Par Shauhar Ki Itaa?at Wajib Hai Aur Na Farmaani Na Jayez. To Agar Shauhar Kisi Galti Par Tambeeh Karta Hai To Use Iska Haq Hai Aur Bila Wajah Karta Hai To Sabr Kare Aur Hattal Imkaan Uski Jayez Khwaahish Ki Takmeel Ki Koshish Kare. Aur Jo Baatein Uske Mizaaj Ke Khilaaf Ho Usse Bache Aur Usko Raazi Rakhne Ki Har Mumkin Koshish Kare. Aur Shauhar Ko Bhi Chahiye Ke Biwi Ke Huqooq Ada Kare Aur Uske Saath Achchi Zindagi Guzaare. n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button