Masail

RAJJAB KE MAHINE KA KHAAS AMAL

Rajjab Ki Pehli Tareekh Ko Fajar Ki Namaz Ke Baad Ek Mutthi Aata (Wheat Flour) Nikalna Hai Aur Dusre Dibbe Me Ya Kisi Dusre Bartan Me Rakhna Hai. 2nd Day Bhi Aapko Aata Nikalna Hai, Magar 2 Muthhi 3 Rajjab Ko 3 Muthhi Aata 4 Rajjab Ko 4 Muthhi Aata Rozana 4 Din Tak Nikal Kar Ek Bartan Me Jama Karein Aur 4 Tareekh Ko 11 Baje Se Pehle Pehle Fatiha Dilana Hai Wo Is Tarah Ke. Aate Ko Bade Thaale Me Daal Kar Barbar Barabar 2 Hisse Karna Hai Aadhe Ka Halwa Aur Aadhe Ka Parathha Banana Hai. Aur 4 Qutub Ke Naam Par Fatiha Dilana Hai. 4 Qutub Ke Naam Ye Hain. 1. Qutubddeen Khawaja Abdul Kareem 2. Qutbuddeen Khawaja Abdur?Rasheed 3. Qutbuddeen Khawaja Abdur?Raheem. 4. Qutbuddeen Khawaja Abdul Jaleel. In Chharon Ke Naam Par Fatiha Dilana Hai 12 Baje Se Pehle Pehle. Ye Band Rozi Khulne Aur Rozi Ki Barkaton Ka Khaas Amal Hai. Jise Aala Hazrat Ne Fatawa Razviya Me Irshaad Farmaya Hai. Kya Aisa Koi Amal Fatawa Razaviya Me Hai? Jawab: Mere Ilm Me Aisa Koi Amal Fatawa Razavia Shareef Me Is Tafseel Ke Sath Zikr Nahi. Wa-Allahu Ta?ala A?lam Haan! Shama Shabistan E Raza Me Ek Amal Zikr Hai Ke Hamesha Pure Maheene Ek Ek Mutthi Atta Jama Karein Aur Maheene Ke Akhir Me Chaaro Aqtaab Ke Naam Fatiha Karein Aur In Charo Aqtaab Ki Tareekh E Wisaal 4 Rajab Hai. n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button