Masail

Kya Teeja O Chaliswa Wagaira Ka Khana Khane Se Dil Murda Ho Jata Hai?

Jawab: Aala Hazrat Azeemul Barakat Saiyyiduna Imam Ahmad Raza Fazil E Barailvi Isi Tarah Ke Ek Sawal Ke Jawab Me Irshad Farmate Hai. Ye Tajarba Ki Baat Hai Aur Uske Ma?na Ye Hain Ke Jo Ta?aam E Mayyat (Mayyat Ka Khana) Ke Mutamanni Rahte Hai. Unka Dil Mar Jaata Hai. Zikr O Taa?t E Ilaahi Ke Liye Hayaat O Chusti Usme Nahin Rahti Ke Woh Apne Pait Ke Luqme Ke Liye Maut E Muslimeen Ke Muntazir Rahte Hain Aur Khana Khate Waqt Maut Se Gaafil Aur Uski Lazzat Me Shagil. Fatawa Razviyyah Jild 4 Safah 223 n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button