Aqaid

Hazrat Aaj Kal Ye Baatein Bahut Uthai Jarahi Hai.

Ke Tum (Musalman) Apna Mazhab Fatwo Me Dekh Rahe Ho Or Wo Vote Dete Waqt Apna Mazhab. Gair Qaumo Me Bhi Bahut Firqe Hai. Lekin Sirf Musalman Qaum Aisi Hi Puri Duniya Me Jo Aapasi Firqo Me Ladh Rahi Hai. In Dono Sawal Me Ye Kehte Hai Ke Hum Siyasi Ehtebar Se Aisa Keh Rahe Hai. Apna Deen Chorne Ke Liye Nhi. Baraye Karam Is Baat Par Zaroor Roshni Daliye Or Koi Sharai Hawala Sath Hoto Or Behtar Hoga. ANSWER Haq Ne Kabhi Baatil Ka Sath Qubool Na Kiya Na Usko Haq Jaana. Huzoor E Akram ? Ne Gazwa E Badr Ke Mauqe Par Badmazhabo O Yahudiyo Ki Madad Qubool Na Farmaayi. Shariat Siyaasat Se Barh Kar Hai. Siyaasat Me Hame Ye Hargiz Gawara Nahi Ke Hum Kisi Badmazhab Ko Haq Jaane. Haan Siyaasi Chaara Jui Ke Liye Unhe Kafir Jante Hue Kaam Kiya Jaaye To Jawaaz Ki Surat Ulama Bayan Farmaate Hain. n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button