Masail

Huzoor Hatheli Ke Lakhiro Ko Dekh Kar Zindagi Ke Bare Main Bolna Kaisa? Iski Kuch Haqiqat Hai Ya Nahi?

Jawab: Sayyedi Alahazrat Irshad Farmate Hain Ke Kahino Aur Jotishio Se Hath Dikha Kar Taqdeer Ka Bhala Bura Daryaft Karna Agar Ba Taur e Eteqad (Us Par Aqeeda Rahte Hue) Ho. Yaani Jo Ye Bataayein Haq Hai. To Kufr e Khalis Hai. Isi Ko Hadees Me Farmaya ? Aur Agar Bataur e Eteqad o Tayaqqun Na Ho. Magar Mail o Ragbat (Dilchaspi) Ke Sath Ho. To Gunah e Kabeera Hai. Isi Ko Hadees Me Farmaya Allah Ta’ala 40 Din Tak Uski Namaz Qubool Na Farmayega. Aur Agar Bataur e Hazal o Istehza (Mazaq Ke Taur Par) Ho. To Abas o Makrooh o Himaqat Hai. Haan Agar Baqasd e Ta’jeez (Hath Dekhne Walo Ko Aajiz Karne Ki Niyat Se) Ho To Harj Nahi (Yaani Us ki Baatein Jhutlaane Ka Qasd Ho). n(Fatawa Razaviya Jild 9 Hissa 2 Safa 71) Baher Haal! Aam Taur Par Log Shauq o Ragbat Ke Sath Hath Dikhate Hain Jo ke Haraam Hai. n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button