Aur agar koi insaan dua nahi mangta to kya agarche uska yakeen yeh ho ki jo mere taqdeer me likha hai wo Allah Ta’Ala mujhe ataa karnewala hai. nkarne ka maqsad dua ki ehmiyat ko samjna hai. nDua maange, ya fir sirf hame di hui nemato ka shukr adaa kare. nIs baat ko Samajhna hai. n
de kar hamari islaah kare. nBeshak Allah Ta’ala e jo bhi Ne’matein Ataa Farmaayi hain Us Par Sabr Karna aur Rab Ta’ala ka Shukr Baja Lana Har Musalman Par Laazim hai. Magar Dua Se Inkar karna aur Na Maangna Sakht Mahroomi hai, ke Dua se Taqdeer (Qaza e Muallaq, ya shabeeh ba mubram) Badal bhi sakti hai. Aur Dua Karna Allah Ko Raazi karne ka Ek Haseen waseela hai. Dua Jis Tarah Allah Ta’ala Se Munajaat Karne, Us Ki Qurbat Hasil Karne, Us Ke Fazl o Inaam Ke Mustahiq Hone Aur Bakhshish, Wa Maghfirat Ka Parwana Hasil Karne Ka Nihayat Aasan Aur Mujarrab Zariya Hai. Isi Tarah Dua Allah Tabaarak wa Ta’ala Ke Pyare Habib ? Ki Sunnat, Us Ke Pyare Bando Ki Aadat Aur Dar Haqeeqat Ibadat. Balki Maghz-E-Ibadat Aur Gunahgaar Bando Ke Haqq Me Allah Ta’ala Ki Taraf Se Ek Bahot Badi Ne?mat Wa Sa?adat Hai. Quran-E-Kareem, Wa Ahadees e Mubaraka Me Jagah Jagah Dua Maangne Ki Targeeb Dilayi Gayi Hai. Dua Se Mutalliq Quran-E-Kareem Me Farmane Baari Ta?ala Hai : Tarjuma-E-Kanzul Iman : n”Aur Tumhare Rab Ne Farmaya Mujh Se Dua Karo Main Qubool Karunga Beshak Wo Jo Meri Ibadat Se Unche Khinchte (Takabbur Karte) Hain An Qareeb Jahannum Me Jayenge Zaleel Ho Kar.” n(Al Qur?an : Parah: 24 , Al’Mominoon : 60) Ek Maqaam Par Irshaad Farmaya : Tarjuma-E-Kanzul Iman : n”Aur Aye Mehboob Jab Tum Se Mere Bande Mujhe Poochein To Main Nazdeek Hoon Dua Qubool Karta Hoon Pukarne Wale Ki Jab Mujhe Pukare To Unhein Chahiye Mera Hukm Maane Aur Mujh Par Imaan Laaye Ke Kahin Raah Paayein.” n(Al Qur?an : Parah : 2 , Al’ Baqarah : 186) Neez Nabi ﷺ-E-Kareem ? Ne Kaseer Ahadees Mubaraka Me Baar Baar Dua Mangne Ki Targheeb Dilaayi Hai. Chunanche Irshaad Farmaya : n?Dua Ibadat Ka Maghz Hai? Aur Na Maangne Ki Surat Me Rabbe Jaleel Ka Nihayat Sakht Hukm Bhi Sunaya : n?Jo Mujh Se Na Mangega Main Us Par Ghazab Farmaunga?. Sarkar e Aqdas ? Ka Farman e Aalishan Hai : Jo Musalman Aisi Dua Kare Jis Me Gunah Wa Qata e Rehmi Ki Koi Baat Shamil Na Ho. To ALLAH Ta’ala Use Teen (3) Cheezon Me Se Koi Ek Zaroor At?aa Farmata Hai: 1) Us Ki Dua Ka Nateeja Jald Hi Us Ki Zindagi Me Zahir Ho Jata Hai. 2) ALLAH Ta’ala Koi Musibat Us Bande Se Door Farma Deta Hai. 3) Us Ke Liye Aakhirat Me Bhalayi Jama Kar Di Jaati Hai. Ek Riwayat Me Hai Ke Banda Jab Aakhirat Me Apni Duaon Ka Sawab Dekhega Jo Duniya Me Mustajaab n(Yani qubool) Na Hui Thi. To Tamanna Karega: Kaash ! Duniya Me Meri Koi Dua Qubool Na Hui Hoti. n(Tirimizi : 5/243 , Hadees : 3382 Al Jama ul Sageer : Safha : 377 , Hadees : 6069) n(Tirimizi : 5/292 , Hadees : 3490) Hazrate Sayyeduna Abu Hurairah رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Nabi ﷺ-E-Kareem ? e irshad farmaya n?Dua Momin Ka Hathiyaar, Deen Ka Stuoon Aur Zameeno Aasman Ka Noor Hai.? n(Mustadrak: Jild 2 , Safha 162) Ameerul Momineen Hazrate Sayyeduna Umar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ bin Al-Khattab Farmate Hain Ke n?Beshak Dua Zameeno Aasman Ke Darmiyan Ruk Jaati Hai Aur Jab Tak Tum Apne Nabi ﷺ ? Par Durood-E-Paak a Parh Lo, Us Me Se Koi Cheez Buland Nahi Hoti.? Ameerul Momineen Hazrate Sayyeduna Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Se Marwi Hai Ki n?Har Dua Rok Di Jaati Hai Jab Tak ALLAH Ke Mehboob Par Durood Na Parh Liya Jaaye.? n(Jamia At Timizi : Hadees 486) n(Tabrani : Jild 1, Safha 211). n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—