Aqaid

Mureed hona wajib hai ya sunnat ?

Neez mureed kyun karwate hain ? Mureed hone ka kya fayida hai? Jawab: Aalahazrat is suwaal ke jawab me irshad farmate hain : Mureed hona sunnat hai aur isse Huzoor ﷺ se ittisaale musalsal. Tafseere Azeezi dekho. Ayate Kareema n(Raasta unka jinpar tune inaam kiya) me iski taraf hidayat hai. Para 1, Surah Fateha, Aayat 6 Yahan tak farmaya gaya : Jiska koi peer ahin uska Peer shaitaan hai. Awariful Maarif, 78 Risala Qushariyat, Page 181 Sehate aqeedat ke sath silsila sahih muttasila me agar intisab baqi raha to azar wale to uske barakaat abhi dekhte hain, jinhe azar ahin wah aza me qabr me hashr me iske fawayed dekhenge. Fatawa Razawiya, Volume 26, Page 570

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button