Masail

Kya Murda Logo (Mayyat) ka 40wa ya 10wa pe Bhari Dawat Deni Chahiye

Isliye Ke Murda Log Khush Hote Hai? Jawab: Aala Hazrat e is Ta’lluq se Fatawa Razviya me Jawab Tahreer Farmaya jiska Khulaasa ye hai ke: 1) Soyem, daswen aur Chaliswe wagaira ka khana Miskeeno ko diya jaaye. Biraadri ko Taqseem karna, ya Unko Jama kar ke Khilana be’ma’na hai. Maut me Daawat Najaayez hai. 3 din iska Mahmool hai. Lehaza iske baad bhi Maut ki iyat se agar daawat kare Mamnoo hai. 2) Mash’hur Maqoola hai ke Mayyat ka khana Dil ko murda kar deta hai. Ye tajrube ki baat hai aur iska ye matlab hai ke jo Mayyat ke khaane ke khwahish mand rehte hain unka dil mar jaata hai. Allah Ta’ala ke zikr aur itaa’at ke liye Hayat o Chusti usme ahi rehti ke wo apne pet ke luqme ke liye ek Muslim ki Maut ke Muntazir rehte hain aur khana Khaate waqt Maut se Gaafil Rehte hain. n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button