Hazrat aise alfaz kehne wale par kya Hukm hai jabki zaid ko kafi samjhaya gaya aur zaid huzoor tajushshariya sarkar ka mureed hai
Aur zaid ko huzoor tajushshariya ke jawab bhi sunaye gaye hai. Fir bhi zaid e aise alfaz kahe hai toh ispar kya Hukm hoga. 1) Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Alaihisalam 2) Bhai panjetan e pak faristo se kam hai kya? 3) Hazrat Hussain a hote toh Islam bhi ahi hota aaj. 4) Mere liye panjetan e pak farishtey hi hai. 5) Shia shamjna hai samjho but panjetan e pak sir akho par. 6) Mere liye sahi hai mujhe kisise puchne ki zarurat ahi. 7) Panjetan e pak Alaihisalam Hazrat jawab de kar rehnumaiye farmaye.. Jawab: 1) Gair E Ambiya o Malaika ke Naam ke Sath Alaihissalam ka istemaal Mamnoo hai, ke ye Ma’soomeen ke liye khas aur Alamat hai. 2) Panjatan e pak me Huzoor e Aqdas ? Tamam Makhlooq me sab se Afzal aur Baqiya Sahaba e Kiraam Rusulaan e Malaaika Ke Siwa Tamam Farishto se Afzal hain. Lehaza is jumle me harj ahi ke wo Farishto se kam ahi. 3) Islam ki Hifazat Allah Ta’ala e Apne Zimma e karam par liya hai aur har zamane me kisi a kisi Apne Mahboob bande ke zariye se Allah e Deen ki Hifazat farmaayi. Lehaza ye jumla kehna ke Hussain a hote islam a hota. Yaani Khatam ho jaata, Mubaalga hai aisa jumla a kaha jaaye. 4) Ye Rawaafiz ka Aqeeda hai k wo Hazrat Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ, Hazrat Fatima o Hasnain e Kareemain ko Ma’soom Maante hai. Jab ke Ahle Sunnat o Jamaat ka aqeeda ye hai ke wo Ma’soom ahi, balke gunaaho se mahfooz hain. Lehaza Unhe Is Maa’na me Farishta kehna ke wo Ma’soom hain, Ma’mool e Ahle Sunnat ke khilaaf hai. 5) Panjatan se Haqeeqi Muhabbat Sunni sahih ul Aqeeda rakhte hain a ke shia o rawafiz, 6) Inme se tamam bato ka jawab ijmalan zikr kar diya gaya, ab agar koi aisa jumla kahe ke mujhe kisi se poochne ki zarurat ahi. Yaani agarche mai galat hu, to galat hi karunga Magar Ulama e kiram se daryaft a karunga. To Aisa jumla Istemaal karna sakht gunah o Najaayez hai. 7) Jawab upar zikr hua. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—