Aqaid

Agar Kisi ilake Me Sunni Log Rehte par waha jahiliyat faili Ho Aur Log Maslak e Aala hazrat kise kehte hai ye naa jante ho

Deobandiyo Ke aqaid ke bare me ilm aa rakhte ho aur unhe achcha samjhte ho. To agar waha par koi jalsa ho aur us jalse ke karane wale log Mukaarrir ko Radd e wahabiya karne se mana kare sirf is iyat se ki ilake ke log jahil hai aur radd e wahabiya karne se wo sunniyo ko bura samjhne lagenge. To kya hazrat aise me radd e wahabiya se rokne wala gunahgar to aa hoga? Jawab: Aaj ke zamaane me kuch Muqarrireen e gaali galoch ko radd samajh liya hai aur awam bhi radd ka yahi matlab samajhti hai, Halaanke Aqaaid e Ahl e Sunnat ko Ahadees o Quran ki roshni me saabit karna aur wahabiyo ke aqaaid e baatila ko Quran o Hadees ki raushni me Baatil thehrana hi asl Radd hai, aur is tarah ka radd kiya jaaye. To koi bhola bhala bhi mutanaffir a hoga, balke haq ko tasleem karega agar use Maanna ho. n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button