Qiyamat Kya Hai? Aur Kaise Aayegi? – Haqeeqat Roman Urdu Mein
Qiyamat ka bayan
Allah ta’ala ne apni muqaddas kitab Qur’an e Majeed mein farmaya ki “Beshak qiyamat aane wali hai.”
Qiyamat kya hai?
Allah ta’ala ne apne bandon ko unke achche aur bure kaamon ka badla dene ke liye ek khaas din muqarrar farma diya hai jis din woh neko-karon aur badkaron ke achche aur bure aamaal ki jaza wa saza ka faisla farmayega. Aur nekon ko jannat ki ne’matein aur badon ko jahannam ka azaab dega. Us din ka naam Qiyamat hai.
Qiyamat kis tarah aayegi?
Qiyamat ek dum achanak aur nagahan aayegi. Logon ko iska koi khayaal nahi rahega aur rozana ki tarah log apne kaamon mein mashgool honge.
Phir achanak Allah ta’ala Hazrat Israfeel alaihissalam ko soor phoonkne ka hukm dega. Soor ek cheez hai jo bigul ki tarah hota hai. Hazrat Israfeel alaihissalam soor haath mein liye hue, aasman par Allah ke hukm ke intezar mein khade hain.
Soor ki aawaz shuru mein bareek aur sureeli hogi, phir dheere-dheere bahut zyada buland aur bhayanak hoti jayegi. Log us aawaz ko sun kar behosh hone lag jayenge, gir padege, aur marne lag jayenge.
Aasman toot kar tukde-tukde ho jayega. Zameen jabardast bhauchal se hil uthegi aur reza-reza ho kar bikhar jayegi. Pahad chaknachoor ho kar oon ki tarah udte phiren ge. Sooraj, chaand aur sitare be-noor ho kar gir jayenge.
Har taraf aisi tabahi fail jayegi ki tamam jandar aur bejaan cheezein hatta ke Hazrat Israfeel alaihissalam aur unka soor tak fana ho jayega. Sirf Allah baqi rahega.
Phir Allah ta’ala apni jalali shaan ke saath farmayega:
“Aaj kiski badshahi hai?”
Magar koi maujood na hoga jo jawab de.
Phir Allah khud hi farmayega:
“Ek Allah sab par gaalib ka hai.”
Phir Allah Hazrat Israfeel alaihissalam ko dobara zinda karega aur soor paida kar ke phir se phoonkne ka hukm dega. Joon hi soor phooka jayega, tamam insaan, jinn, farishte, aur jandar zinda ho jayenge. Har murda apni qabr se uth khada hoga.
Sab se pahle Huzoor e Akram ﷺ apni qabr se bahar tashreef layenge; aapke dahine haath mein Hazrat Abu Bakr r.a ka haath hoga aur baye haath mein Hazrat Umar r.a ka.
Phir Makka aur Madina ke tamam musalmaan qabron se nikal kar Maidan-e-Mahshar ki taraf jama ho jayenge.
📚 Reference:
Book: Qiyamat Kab Aayegi? — Pages 8–10