Sawal:
Wahabi kehte hain ke Hadis Shareef mein hai ke Arab mein kafir nahi honge aur wahan Wahabiyon ki hukoomat hai, to maaloom hua ke woh Musalman hain. Lihaza agar Wahabi kafir hain to unki is baat ka kya jawab hai?
Jawab:
Hadis Shareef mein hargiz nahi hai ke Arab kafir nahi honge, balke Huzoor sallallahu ta‘ala alaihi wa sallam ne yeh farmaya:
“Inna sh-shaitana qad ya’isa min an ya‘budahul musalloon fi jazirat-il-Arab”
Ya‘ni:
Shaitaan is ummat se mayoos ho gaya hai ke musalli (momin) jazeera-e-Arab mein uski ibadat karein (ya‘ni but-parasti mein mubtala rahein).
(Tarjuma Mishkaat mutarjim Wahabi, matboo‘a Karachi, Jild Awwal, Safa 23)
Wahabi ke is tarjuma se wazeh ho gaya ke shaitaan ki ibadat ka matlab hai but-parasti mein mubtala rehna, ya‘ni jazeera-e-Arab ke Musalman but-parasti mein mubtala rahein, aisa na hoga.
Aur Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlawi alaihirrahmatu war-ridwan tahrir farmaate hain:
“Aur shaitaan ki ibadat se buton ki pooja murad hai, aur agarche ke Muslima ke saathi aur mani‘een-e-zakat murtad hue lekin un logon ne buton ki pooja nahi ki.”
(Ash‘atul Lam‘aat, Jild Awwal, Safa 83)
Wazeh ho gaya ke Huzoor sallallahu ta‘ala alaihi wa sallam ke irshaad ka matlab yeh hai ke ai Arab ke Musalman, apne deen se phir kar but ki pooja nahi karenge.
Lihaza Arab ke logon ka kisi waqt murtad ho jana ya kisi zamane mein murtaddon ki hukoomat qaim ho jana Hadis Shareef ke khilaaf nahi.
Jaise ke Huzoor sallallahu ta‘ala alaihi wa sallam ke zahiri zamane ke foran baad:
Musailma Kazzab,
uske muttabieen (itteba‘ karne wale),
aur zakat ki farziyat ka inkaar karne wale Arab hi mein murtad hue.
Aur murtad Abu Tahir Qarmati ka 320 Hijri mein Makkah Mu‘azzama par ghalba hua.
Aur woh aisa murtad tha ki Masjid-e-Haram ke mimbar par khada hua aur kaha:
“Inna billahi wa billahi ana akhluqal khalq wa afnihim ana.”
Ya‘ni: Main Khuda ki qasam — Khuda ki qasam main makhlooq ko paida bhi karta hoon aur unko fana bhi karta hoon.
(Hujjatullahi ‘alal Aalameen, Jild 2, Safa …)
Aur 644 Hijri mein Madina Shareef aur Masjid-e-Nabawi par Rafiziyon (ya‘ni Shiyon) ka qabza tha.
Qaazi-e-shehar aur Masjid-e-Nabawi ke Imam wa Khateeb sab Rafizi the.
(Wafa-ul-Wafa, Jild Awwal, Safa 426)
Sabit hua ke pehle zamane mein bhi Arab mein murtad hue hain aur wahan unki hukoomat bhi qaim rahi.
Lihaza Arab mein Wahabiyon ki hukoomat hone se unka Musalman hona saabit nahi hota.