QURBANI KI MANNAT
QURBANI KI MANNAT MASLA:- Qurbani ki mannat sahih hai agar shart paayi gayi to Qurbani karna wajib hai. Maslan kisi e kaha mera fulaan kaam ho jaaye to main Qurbani karunga aur woh kaam ho gaya to Qurbani wajib hai. MASLA:- Qurbani ki mannat maani aur ye mu’ayyan ahin kiya ke gaaye ki Qurbani karega, ya bakri ki to mannat sahih hai. Bakri ki Qurbani kar dena kaafi hai n(Bahar e shari’at) MASLA:- Agar bakri ki Qurbani ki mannat maani to oont ya gaaye Qurbani kar dene se bhi mannat poori ho jaayegi n(Bahar e shari’at) MASLA:- Mannat ki Qurbani mein se kuch a khaye balkeh sara gosht wagairah sadqa karde aur kuch kha liya to jitna khaya uski qeemat sadqa karde. n(Bahar e shari’at) MASLA:- Maalik e isaab e Qurbani ki mannat maani to uske zimmah 2 Qurbaniyaa wajib ho gayi ek woh jo gani par wajib hoti hai aur ek mannat ki wajah se. n(Bahar e shari’at) MASLA:- 2 yaa 2 se ziyadah Qurbaniyo ki mannat maani to jitni Qurbaniyo ki mannat hai sab wajib hai. n(Bahar e shari’at) BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBANI n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—