QURBANI KA TARIKA
QURBANI KA TARIKA HADEES:- Hazrat e Jaabir se riwayat hai ke Nabi ﷺ Kareem e zabah ke din 2 mendhe seengh wale chitkabre khassi kiye huye zabah kiye jab unka munh qibla ko kiya ye padhe Isko padh kar zabah farmaya ek riwayat me hai ke Huzoor e ye farmaya keh ilahi ye meri taraf se hai aur meri ummat mein uski taraf se hai jis e Qurbani ahi ki. n(Abu daaud / Ibn e Maajah) HADEES:- Hazrat Anas se riwayat hai ke Nabi ﷺ Kareem Ne 2 mendhe chitkabre sing walo ki Qurbani ki unhe apne dast e mubarak se zabah kiya aur Kaha, kahte hain main e Huzoor ko dekha ke apna paaun unke pahluon par rakha aur Kaha n(Bukhari / Muslim) MASLAH:- Ye shubah keh ek mendha un sab ki taraf se kiyon kar ho sakta hai ya jo log abhi paida hi a huye unki Qurbani kiyon kar hui iska jawab ye hai ke ye Huzoor e Aqdas ke khasaais se hai jis tarah huzur e 6 mahine ki bakri ke bachchah ki Qurbani Abu Burdah ke liye jaayez farma di auron ke liye uski mumana’at kardi isi tarah is mein khud Huzoor ki khususiyyat hai. n(Bahar e shari’at) MASLAH:- Qurbani ka tarika ye hai keh Jaanwar un sharaait ke muwafiq hon jo mazkoor hui yani jo us ki umr baatai gayai us se kam a ho aur un uyoob se paak ho jinki wajah se Qurbani aajaayez hoti hai aur bihtar ye keh umdah o farbah ho Qurbani se pahle use chaarah paani de dein yani bhooka piyasa zabah a karein aur ek ke saamne dosre ko zabah a karein aur pahle se chhuri tez karle aisa a ho ke Jaanwar girane ke baad uske saamne chhuri tez ki jaaye Jaanwar ko baayein pahlu par is tarah litaayein ke qiblah ko uska munh ho aur apna daahina paaun uske pahlu par rakh kar tez chhuri se jald zabah kar diya jaaye aur zabah se pahle ye dua padhi jaaye Ise padh kar zabah kar de Qurbani apni taraf se ho to zabah ke ba’ad ye dua padhe Is tarah zabah kare ke chaaro ragen kat jaayein ya kam se kam 3 ragen kat jaayein is se ziyadah a kaatein ke chhuri gardan ke muhra tak pahunch jaaye ke ye be wajah ki takleef hai. Phir jab tak Jaanwar thanda a ho jaaye yani jab tak uski rooh bilkul a ikal jaaye uske paaun wagairah a kaate a khaal utaare aur agar dosre ki taraf se zabah karna hai to ki jagah Ke baad uska ame le aur agar woh mushtarak Jaanwar hai jaise gaaye, oont to wazan se gosht taqseem kiya jaaye mahaz takhmeena (andazah) se taqseem a karein n(Bahar e shari’at) MASLAH:- Qurbani karne wala baqra’eid ke din sab se pahle Qurbani ka gosht khaye is pahle koi dosri chiz a khaye ye mustahab hai n(Bahar e shari’at) FAAIDAH:- Ahadees se saabit hai ke Saiyyid e Aalam e is ummat e marhooma ki taraf se Qurbani ki ye Huzur ke be shumaar altaaf men se ek khaas karam hai ke is mouqe par bhi ummat ka khiyaal farmaya aur jo log Qurbani a kar sake unki taraf se khud hi Qurbani ada farmayi jab Huzoor e ummat ki taraf se khud Qurbani ki to jo musa عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ lman sahib e isteta’at ho agar Huzoor e Aqdas ke aam ki ek Qurbani kare to zahe aseeb aur behtar seengh wala mendha hai jiski siyaahi mein safaidi ki bhi aamezish ho jaise mendhe ke khud Huzoor Akram e Qurbani farmaai. n(Bahar e shari’at) BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—