Masail

Qurbani ka hissa kitna hota hai?

Qurbani ke janwar mein kitne hisse hote? HADEES:- Hazrat Abdullah Bin Mas’ood se riwayat hai ke Huzoor e farmaya Qurbani mein gaiy 7 ki taraf se aur uoont 7 ki taraf se hai n(Tibrani) MASLAH:- Jab Qurbani ke sharaait e mazkoorah paaye jaayein to bakri ka zabah karna ya oont ya gaaye ka saatwa hissa wajib hai. n(Bahar e shari’at) MASLAH:- Saatwen hissa se kam ahi ho sakta balke oont ya gaaye ke shuraka mein agar kisi shareek ka saatwen hissa se kam hai to kisi ki Qurbani ahin hui yani jiska saatwa hissa ya usse ziyadah ho uski bhi Qurbani ahi hui. n(Bahar e shari’at) MASLAH:- Gaaye ya oont mein saatwen hissa se ziyaadah ki Qurbani ho sakti hai maslan gaaye ko 6 ya 5 ya 4 shakhso ki taraf se Qurbani karein ho sakta hai aur ye zaroori ahin ke sab shuraka ke hisse barabar hon. Balkeh kam o besh bhi ho sakte hain, haan ye zaroor hai ke jiska hissa kam hai woh saatwen hissa se kam aho n(Bahar e shari’at) MASLAH:- 7 Shakhso e 5 gaayo ki Qurbani ki ye jaayez hai ke har gaaye mein har shakhs ka saatwa hissa hua. n(Bahar e shari’at) MASLAH:- Gaaye ke shuraka me se ek kaafir hai ya un men se ek shakhs ka maqsood Qurbani ahi. Balkeh gosht haasil karna hai to kisi ki Qurbani ahi hui. n(Bahar e shari’at) MASLAH:- Qurbaani ke sab shuraka ki iyyat taqarrub ho iska ye matlab hai ke kisi ka irada gosht a ho aur ye zaroori ahi ke woh taqarrub ek hi qism ka ho maslan sab Qurbaani hi karna chaahte hain balke agar mukhtalif qism ke taqarrub hon oh taqarrub sab par wajib ho ya kisi par wajib ho aur kisi par wajib a ho har soorat men Qurbaani jaayez hai. n(Bahar e shari’at) MASLAH:- Qurbani aur aqeeqah ki bhi shirkat ho sakti hai ke aqeeqah bhi taqarrub ki ek soorat hai. n(Bahar e shari’at) MASLAH:- Shuraka mein koi devbandi wahabi aur gair muqallid wagairah hai to kisi ki Qurbani a hui. BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button