Namaz ki makroohat kya hai?
Namaz ki makroohat 1) Kapde, badan ya daadhi ke saat khelna 2) Kapda sametna (jaise sajde me jaate waqt aage ya peeche se uthana) 3) Kapda latkaana (yani sar, ya mundhe par iss tarah daalna ki doono kanare latakte ho) 4) Aasteen ka aadhi kalaayi se ziyaada chadhaana 5) Daaman samet kar amaz padhna. 6) shiddat (zordaar) ka paakhana. 7) Peshab maloom hote waqt, ya galbaye riyaah ke waqt amaz padhna. 8) Mard ka judha baandhe huwe amaz padhna 9) Ungliyaan chatkaana. 10) Ungliyo ki kainchi bandhna. 11) Kamar par haath rakhna, 12) Idhar udhar muh pheir kar dekhna, 13) Aasman ki taraf igah uthaana. 14) Tashahud ya sajdon ke darmiyan kutte ki tarah baithna. 15) Mard ka sajde me kalaayio ka bichaana, 16) Kisi shakhs ke muh ke samne amaz padhna, 17) Kapde me iss tarah lipat jaana ki haat bhi baahar a ho. 18) Pagdi iss tarah baandhna ki beech sar par a ho. 19) Naak aur muh ko chipaana, 20) Bezarurat khankaar ikalna, 21) Bilkasd jamaahi lena aur khud aaye toh harz ahi, 22) Jis kapde par jaandaar ki tasweer (photo) ho usko pehen kar amaz padhna, 23) Tasweer ka amazi ke sar par (yaani chath me hona, ya latka hona, ya sajda karne ki jagah me hona ki uss par sajde waaki ho.) 24) Namazi ke aage, ya dahine, ya baaye, ya peeche tasweer ka hona. Jabki latki ho, ya asab ho, ya diwaar wagairah mankoosh ho (dewaar par khood kar, ya waise hi kisi jaandaar ki tasweer bani hona) 25) Ulta Quran majeed padhna, 26) Kisi wajib ko tark karna (choodhna) 27) Qiyam ke alaawa kisi aur mauqe par Quran padhna. 28) Ruku me Qirat ko khatm karna, 29) Imam se pehle muqtadi ka ruku wa sujood wagairah me jaana, ya usse pehle sar uthana. Yeh tamaam baatein Makrooh e tahrimi hai.
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—