Jisko Nahane Ki Zarurat Ho Aise Shakhs Ne Haroof E Muqataat Ho.
(Jaise Alif laam meem. Yaa seen, Haa meem. Wagairah) Aisi Anguthi Pehana Us Ke Liye Kaisa hai? ANSWER Ramzan Me Agar Raat Ko Junub Huwa To Achha Hai Ki Farz Tulu Hone Se Pahle Naha le Taaki Roze ka Har Hissa Janaabat se khaali Ho Aur Agar Nahi ahaya to Bhi Roza To Hohi jaayega magar Achha Yah Hai Ki Garaara Kar Le Aur Naak Me Jad tak paani Chadaah le yah Dono farz se pahle Kar le ki Roze Me a ho Sakenge Aur agar ahane me itni der ki ki din ikal aaya Aur amaz Qaza kardi to yah Aur dino me bhi gunah hai Aur Ramzan me to Aur jyaada Jis ko Nahane ki jarurat ho us ko Masjid me jaana, Tawaafa karna, Qura’an Sharif Chhuna, Agarche Uska Sada Hashiye (Aayat likhi hoti hai uske ird gird jo blank page hai usko hashiya kehte hain) Ya Jild (Binding ko jild kehte hain) ya Choli chuye ya be Chuye dekh kar, Ya jubani padhna , Ya kisi Aayat ka Likhna ya Aayat ka Taveez likhna Ya Aisa Taveez Chuna Ya Aisi Anguthi pahanna Jis me haroof e muqataat Ho (Jaise Alif laam meem. Yaa seen. Haa meem. Wagairah). Haraam Hai Bahar -E-Sharee’At Dusra Hissa Safa 37 n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—