Alaihissalam ka meaning kya hai
Nabi ﷺ aur frishte ke alawa alaihissalam kisi sahaba ke aaghe lagana kaisa? Hazrat E Imam E Hussain radiyallahu ta’ala anhu ke aaghe alaihissalam lagana kaisa? Aur kyu ahi lagana chahiye? ANSWER Hamare is daur me ye baat aam hoti jaa rahi hai ke sayyedna Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ e Murtaza, Hasnain kareemain, sayyeda Fatima wa Deegar Aal e Rasool ﷺ ? ke afrad e kareema ke ilaawa sabiqa Ambiya Alaihimussalam ki Baaz Ahl par Lafz “Alaihissalam” ka istemaal karte hain. Awaam ke ilaawa khwaas ki bhi Aadat ban gayi hai, ke Shia Firqe ke dekha dekhi ye Marz barh raha hai. Akaabir Saaleheen Ulama o Mashaikh E Muhaqqiqeen ka yahi Mauqif e Mukhtar hai ke Gair e Ambia o Malaika ke liye Alaihissalam Na Istemal kiya jaaye. Behtar yahi hai ke aisa itlaaq aho. Balke Aadat khatam kar di jaye taake Mazhab e Shia se Tashaaboh aur uski Tarweej aho. Islami qaayeda hai ke Bad’mazhab qaum ke sath kisi tarah bhi Mushabahat aho. Unse Mushabahat ke tamam tareeqe tark karne chahiye. Wajah zaahir hai ke Sunni Bhola Bhala hai. Use Shia Apne Mazhab me laane ki kai Tadbeerein batate hain. Ek yahi hai ke 12 Imamo ke liye Duaiya Jumla “Alaihis Salam” Tajweez kar rakha hai. Jo kisi dosre Ummati ke liye Istemal ahi hota hai. Balke keh ahi sakta Abu Bakar Alaihis Salam, Umar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Alaihis Salam, Usman Alaihis Salam, balke in Hazrat ke sath Razi-Allahu Ta’ala Anhu ka Iste’mal hota hai. Awaamun Naas ye sab kuch dekhte hain aur agar wo khud is taraf mutawajjeh ahi hote, to Jamat e Mujtahideen unko mutawajjeh karti hai. Aur unko ye dikhati aur samjhati hai. Ke ye Duaiya jumla jo Hazrat e Ambiya e kiram Alaihimus Salam ke Mubarak aamo ke sath bhi bola jata hai. Hamare aimma ke aamo ke sath bhi bola jata hai. Isi se zaahir o baahir hai ke ye 12 Afraad zumra e Ambiya me shamil hain. Aur unki imamat Ma’mooli imamat ahi. Balke Hazrat e Ambiya e Maa Sabaq ki imamat hai. Faayeda: Agar Baaz Ulama ki tahqeeq Baraaye Gair Ambiya Alaihissalato wassalam ya Alaihissalam kehne ko jaayez qarar dete hain. Aur unke qaul par Koi Amal karta hai to wo pehle un 2 hazrat (Hazrat Abu Bakr رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ, Hazrat Umar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ) ke sath iska istemaal kare. Jo Ahl e Sunnat o Jamaat ke azdeek shia ke 12 imamo se ba ittefaq afzal hain. Aur wo Hazrat Abu Bakr رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Aur Hazrat Umar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ hain. Mujawwizeen e agar jawaaz ka bayan kiya hai to tamam sahaba ulama o sulaha ke liye kiya hai. Sirf Ahl e Bait e At’haar ke 12 afraad ke liye ahi kiya hai. In halaat ko dekhte hue hazraat e ahl e bait e at’haar ke zikr ke waqt lafz e alaihis salam ki dua karne ko tark kiya jaaye. Taake Shia Awaam e Ahl e Sunnat ko Gumraah a kar sakein. Wa-Allahu Ta’ala A’lam n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—