Masail

Fajr Namaz ki Sunnat Farz Namaz ke baad Fauran padhna kaisa hai?

Fajr Namaz ki Sunnat Farz Namaz ke baad Fauran padhna Najayez Hai. Mas’Ala : Fajr ki Sunnat Qaza Ho gayi Aur Fajr padhli to Ab sunnato ki Qaza ahi. Albatta Imaam Muhammed ﷺ Rahmatullahi Alaihi Farmate hai. ki Tulu E Aftab ke baad padhle to behtar hai (Guniya) Aur Tulu se Pesh tar Bil Ittifaq Mamnu Hai (Raddul Muhtaar). Aaj kal Aksar Awaam Farz ke Fauran baad padh liya karte hai yah Najaayez Hai. Padhna ho to Aaftaab Baland hone ke baad Aur jawaal se pahle padhe. Mas’Ala : Fajr Ki Namaz Qaza ho gayi Aur jawaal se pahle padhli To sunnate padhe. Warna ahi Aalaawa Fajr ki aur Sunnate Qaza Ho Gayi to unki Qaza ahi (Raddul Muhtaar). Bahar-e-sahari’At Hissa 4 safa 13 n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button