Makrooh Waqto Me Qaza Namaz NaaJaayez Hai Aur Agar Qaza Shuru Karli To Waajib Hai ki Qaza Tood de
Makrooh Waqto Me Qaza Namaz NaaJaayez Hai Aur Agar Qaza Shuru Karli To Wajib Hai ki Qaza Tood de. Mas’Ala : Awaam Agar Subah Ki Namaz Aaftab Nikalne Ke Waqt padhe, To Mana Na Kiya Jaaye. Durre Mukhtar Jild 1 safa 248 Mas’Ala: Mamnu’a Waqt (Yaane Jin Waqto Me Namaz Mana Hai). Agar Janaza Laaya Jaaye, To Usi Waqt Padhe Koyi Karahat Nahi. Karahat Us Surat me Hai ki Agar Pahle se Janaza Tayyar tha Aur Itni der ki ki Waqte karahat Aa Gaya. Aalamgeeri jild 1 safa 49 Mas’Ala: Makrooh Waqto me Qaza Namaz Na Jaayez Hai Aur Agar Qaza Shuru kar Li To Wajib Hai ki Qaza Tood de Aur Agar todi Nahi To Farz Saakit Ho Jaayega Magar Gunahgaar Hoga. Durre Mukhtar Jild 1 safa 249 Aalamgeeri jild 1 safa 49 n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—