Masail

Qaza namaz ka tarika

Imam e Ahle Suunat Mujaddid E Dino Millat Imam Ahmed Raza Khan Radiallahu Ta’ala Anhu Farmate Hai. Qaza Namazein Jald Se Jald Ada Karna Laajim Hai. Na Maalum Kis Waqt Maut Aa Jaye. Kya Mushkil Hai Ek din Ki 20 Rakat hoti Hai. n(Yaani Fazr ke Farzo ki 2 Rakat Aur zuhar ki 4 Rakat Aur Asar Ki 4 Rakat Magrib ki 3 Rakat Aur Isha ki 7 Rakat 4 Farz Aur 3 witr). In Namazo ke siwaye tulu, wa gurub, wa Jawal ke (ki jis waqt sajda Haraam hai). Har waqt ada kar sakta hai. Aur Ikhtiyaar hai ki pehle Fazr ki sab amazein Ada karle. Phir zuhar, phir Asar, phir magrib, phir isha ki. Ya Sab Namazein Saath-Saath ada karta jaaye aur unka aisa hisab lagaye ki takhmina me baaki a rah jaaye. Jyaada ho jaaye to haraj ahi aur sab ba’qadr taakat rafta-rafta jald ada karle, kaahili aa kare. Jab Tak Farz Namazein Zimma par Baaki Rahta Hai Koyi Nafl Qabool Nahi Kiya Jaata. Qaza Namaz ka tarika Niyat un amazo ki is tarah ho, maslan 100 baar ki Fazr Namaz Qaza hai. To har baar yoon kahe ki sab se pahle jo fazr mujhse Qaza Huyi. Har dafa yahi kahe, Yaani ek ada huyi, toh baakiyoon me jo sab se pehli hai. Isi tarah zuhar wagairah Namaz me iyat kare. Jispar bahut si Namaz-e-qaza ho unke liye Surat-e-Takhfeef aur jald ada hone ki yah hai. Ki khaali rakato me bajaaye Alhamdu Sharif ke teena baar Subhan’Allah kahe. Agar ek baar bhi keh lega, to Farz ada ho jayega. Neez Tasbeehaat Ruku, wa Sujud me sirf ek-ek baar Subhanaa Rabbiyal-Azim Aur Subhanaa Rabbiyal-Aala padh lena kaafi hai. Tashahhud ke baad dono durood Sharif ke bajaye. Allahumma Salle Ala Saiyyedina Muhammadin wa Aalehi. Witro me Bajaye dua e qunoot Rabbig-Feerli kahna kaafi hai. Tulu e Aftab ke 20 minute baad Aur Gurub e Aaftab se 20 Minutes Qabl Namaz Ada kar sakta Hai. Usse pehle, ya uske baad ajaayez hai. Har Aisa Shakhs jiske jimma amaze baki hai. Chuup kar padhe ki Gunah ka Ehlaan Jayez ahi. Isi Silsila me Irshad Farmaya. Agar kisi Shakhs ki jimma 30 ya 40 saal ki Namazein Wajibul-Ada Hai. Usne Apne in jaruri kamo ke Alawa jinke Bagair gujar ahi karobaar Tarrk kar ke padhna Shuru kiya. Aur Pakka Irada kar liya ki kal amazein ada karke Aaram lunga. Aur Farz kijiye Aisi Halat me Ek Mahina, Ya Ek din hi ke baad uska inteqal ho jaaye. To Allah Ta’ala Apni Rahmatein Qamila se Uski Sab Namazein Ada kar dega. Al Malfuz Safa 99,100 n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button