Masail

Jab Maut Ka Waqt Karib Aaye Aur Alaamate Paayi jaye To Daahini Karwat Par Lita kar Qible Ki Taraf Muh Kar dena Kaisa Hai?

Jab Maut ka waqt karib Aaye Aur Alaamate paayi jaaye. To Sunnat yah hai ki daahini karwat par lita kar Qibla ki Taraf Muh kar de. Aur Yah bhi Jaayez hai ki cheet litaaye Aur Qibla ko paanv kare ki Yoonhi kible ko Muh ho jaayega. Magar is Surat me sar ko kuch Uncha Rakhe Aur Qibla ko Muh karna dushwaar ho ki us waqt ki takleef hoti ho to jis halat par hai choor de. n(Durre Mukhtaar) Mas’Ala: Jaankani ki Halat (Dam Nikalte waqt ki halat) me jab tak Rooh gale ko a Aai use talkeen kare. Ya’ani uske paas Baland Aawaz se padhe. Ashahadoo Anla ilaha ilallahu wa ashahadoo an muhammadan Rasoolullah ﷺ Tarjama: Main Gawahi deta hoon ki Allah Ta’Ala ke siwa koyi ma’abud (poojne ke kaabil) ahi. Aur Muhammed ﷺ ? Allah Ta’Ala ke Rasool ﷺ hai. Magar use iske kahane ka hukm a kare. Mas’Ala: Jab usne kalima pad liya to talkeen karde (Rook de). Haan Agar Kalima padne ke baad Usne koyi Baat ki to phir Talkeen kare ki uska aakhir kalama. La Ilaha Illahu Muahammedoor Rasoolullah ﷺ ho. (Aalamgeeri) Bahar-e-sahari’At 4th Teesra safa 107 n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button