Kafan pehnane ka tarika kya hai?
Mas’Ala: Kafan pahnaane ka tarika yah hai. Mayyat ko ghusl dene ke baad badan kisi kapde se Aahista Poch le ki kafan tar a ho. Aur kafan ko 1 Ya 3 Ya 4 Ya 7 Baar dhuni de le is se zyada ahi. Phir kafan yoon bichaye ki badi Chaadar. Phir Tahband, phir kafani, Phir mayyat ko us par litaye Aur kafani pahnaye. Aur dhaadi Aur Tamaam Badan par khusbhu male Aur mawaaje E Sujud Ya’ani Maatha, Naak, Haath, Ghutne, Kadam par kafur lagaye. Phir ijaar Ya’ani Tahband lapete pahle baayi jaanib se phir daahini taraf se phir lifafa lapete. Pahle baayi taraf se, phir daahini taraf se taaki daahina upar rahe. Aur sar Aur paanv ki taraf baandhle ki Udne ka Andesha a Rahe. Aurat ko kafni Pahna kar us ke baal do hisse kar ke kafni ke upar seene par daal de. Ki seene par Rahe kyun ki Odhani ki Lambai se beecha kar sar par laga kar muh par akaab ki tarah daal de. Ki seene par rahe kyun ki Odhani ki lambayi Aadhi peeth se seene tak hai. Aur Chawdayi kaan ki loo se dusre kaan ki loo tak hai. Aur yah jo log kiya karte hai ki zindagi ki tarah udhate hai yah mahaj bekar wa khilafe sunnat hai. Phir ba-dastur ijaar wa lifafa lapete. Phir sabke upar seenaaband pistaan ke upar se Raan tak Laakar Baandeh. n(Aalamgeeri,Durre Mukhtaar,Bahar e Shari’At) Bahar-e-Shari’At 4hta Hissa Safa No 115 n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—