Masail

Ek paanv par khada hona Yaani Dusre Paanv ko Zameen se Utha Lena Namaz Ki Halat me Kaisa Hai?

Mas’Ala :- Ek Paanv pe khada hona yaani dusre paanv ko zamin se utha Lena Makrooh E Tahrimi Hai. Aur Agar Ujrr ki wajah se Aisa kiya To Harz Nahi n(Aalamgeeri 1-65) Mas’Ala :- Agar Kiyaam par Qaadir hai Magar sajda ahi kar sakta to use behtar yah hai ki baith kar ishare se padhe khade ho kar bhi padh sakta hai. n(Durre Mukhtar) Mas’Ala :- Jis Shakhs ko khade hone se katra aata hai ya zakham bahta hai Aur Baithane se ahi to use farz hai ki baith kar padhe. Agar Aur Taur par uski Rook a kar sake yoonhi khada hone se Chauthayi Satar khul jaayega ya Kiraat Bilkul a kar sakega to Baith kar padeh Aur Agar khade ho kar kuch bhi padh sakta hai to farz hai ki Jitni par qaadir ho khade ho kar padhe baaki baithkar n(Durre Mukhtar, Raddul Muhtaar 1-299) Bahar-E-Shari’At Teesra Hissa Safa 60 n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button