Masail
Hazrat is Dua Ke Tahet Kisi Sunni Barelwi Jannati Ki Maut Madina Munawwara Me Huzoor Sallallahu Alaihi Wassallam Ke Khadmo me Aati Hai. nTo Us Shakhs Ko Jannat Ul Baqi Shareef Me Dafan Hone Ke Liye do Gaz Zameen Ka Tukda Mil Jaata Hai Subhan Allah. nYe Hai Madina Paak Me Moujooda Hukumat Najdiyo Ki Hai. nNamaz E Janaza Wa Tadfeen Najdi Hi Karte Hai. nTo Kya Us Shakhs Ki Namaz E Janaza Ho Jayegi. nAgar Nahi Hoti To Aisi Surat Me Kya Kiya Jaye? n
Mayyat ke wali ko chahiye ke wo Alag apni Namaz Ada karle. Agar Dafn tak Mauqa a mila to Qabr Ke Saamne Bhi Namaz e Janaza Ada kar sakta hai. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—