Masail
Hazrat Kisine Pehle Sharha (Dadhi) Nahi Rakhi Kuch Saalo Baad Usne Sharha Rakhliya.
Jo Shaks Pehle Se Sharha Rakhta Tha Wo Baad Me Sharha Rahkne Wale Ko Tok Tha Hai Ke Tumhe Yaad Rakhna Chahiye Ke Tum Kya The. Islam Aise Kehna Kya Hai? Aur Baad Me Sharha Rakhne Wale Ki Gawahi Qubool Ki Ja Sakthi Hai Ya Nahi? Jawab: Agar Waaqai Us Shaks Ne Gunaaho Se Tauba Ki Darhi Taa Hadd E Shara Rakh Liya Aur Ab Aainda Use Katarwaane Ka Irada Nahi. To Kisi Musalman Ko Uske Agle Gunaah Par Malaamat Karna Jisse Usne Sacche Dil Se Tauba Karli Jaayez Nahi. Aur Agar Wo Gair E Fasiq Hai To Uski Gawahi Bhi Maqbool Hai. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—