Kya Qabro Par Imarath Banana Sahi Hai. Kya Sahi Hadees Hai Iska. Kya Masla Hai. Wazahath Farmaye
ANSWER Qabr Ko Andar Se Pokhta Karna Mana Hai Aur Bahar Se Pokhta Karne Mein Harj Nahi. Magar Awaam Ki Qabron Ko Pokhta Na Kiya Jaaye. Jis Tarah Qabr Par Chalna Phirna Baithna Mana Hai. Usi Tarah Qabr Par Deewar Khadi Karna Mana Hai. Yani Qabr Deewar Mein Shamil Ho Jaaye Ye Jaayez Nahin Aur Kisi Bhi Dargaah Ki Imarat Aisi Nahi Hoti. Ke Qabr Par Deewaar Khadi Ho. Balkeh Qabr Ke Ird Gird Deewar Banayi Jaati Hai Aur Wahabi Devbandi Gair Muqallid Wagairah Us Hadees Shareef Ko Daleel Bana Kar Mana Karte Hain. Ye Auliya E Kiraam Se Dushmani Hai Ke Jis Hadees Shareef Se Qabr Ko Deewar Banane Ki Muman?at Hai. Us Se Qabr Ke Ird Gird Imarat Banane Ki Bhi Mukhalfat Karte Hai. Allah Ta?ala Unke Shuroor O Gumraahi Se Ham Ahl E Sunnat Ko Mahfooz Rakhe. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—