Masail
Agar Dorane Ba-Jamat Namaz Me Kisi Ka Wudu Toot Jaye.
To Use Nikalne Ke Liye Bahot Se Logo Ko Falangna Padega Aur Fitne Ke Khoof Wa Andese Se Wo Shakhs Rasami Sath Rukn Karta Rahe Aur Baad Me Namaz Parhle To Kya Aisa Kiya Ja Sakta Hai? ANSWER Jamaat Me Imam Ka Sutra Muqtadio Ka Sutra Hai. Lehaza Wo Shaks Aage Se Kisi Khidki Wagaira Se Nikal Jaaye Ya Naak Par Hath Rakh Kar Dheere Dheere Peeche Hat Jaaye Aur Baaher Nikle. Yu Hi Namazio Jaise Khade Rehna Durust Nahi. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—