Masail
Ruku Sajde Waali Namaz Me Agar Baalig Admi Itni Joor Se Hasse Ki Aas Paas Waale Sunle To Wazu Aur Namaz Par Kya Hukm Hai?
Jawab: Wazu Toot Jayega Aur Namaz Bhi Faasid Ho Jayegi. Behoshi,Junoon,Gashi Aur Itna Nasha Ki Chalne Me Paav Ladkhadaye In Cheezo Se Wazu Totta Hai. Ruku Sajde Waali Namaz Me Agar Baalig Aadmi Itni Joor Se Hasse Ki Aas Paas Waale Sunle To Wazu Toot Jayega Aur Namaz Bhi Faasid Ho Jayegi. Aur Agar Itni Joor Se Hassa Ki Khud Usne Hi Suna Aur Aas Pass Waale Na Soon Sake To Wazu Nahi Jayega Namaz Jaati Rahegi. Aur Agar Muskuraya Ki Daant Nikle Aur Awaaz Bilkul Nahi Nikli To Usse Na To Namaz Jayegi Aur Na Wazu Tootega. Bahar-E-Sahari?At Safa Dusra Hissa Safa 25 —
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—