Masail
Namaz Ke Aakhri Waqt Me Niyat Bandh Kar Namaz Padhne Lage Aur Salam Pherne Se Pahle Qaza Ka Waqt Lag Gaya To Kya Namaz Ho Jayegi?
Jaise Namaz E Fajr Me Der Se Namaz Padhne Aane Walo Ke Sath Hota Hai Ke Salam Pherne Se Pahle Tulu E Aaftab Ho Jata Hai Aur Qaza Ka Waqt Lag Jata Hai. Jawab: 3 Namazo Ka Hukm Ye Hai Ke Agar Salam Se Pahle Waqt Khatm Ho Jaaye woh Namaz Nahin Hogi. 1) Fajr 2) Juma 3) Eidain Baaqi Namazo Me Agar Waqt Mein Takbeer E Tahreema Kaha Aur Waqt Khatm Ho Gaya Aur Namaz Poori Kar Li Jab Bhi Ada Hai. Lihaza Agar Duraan E Namaz Hi Fajr Ka Waqt Khatm Ho Gaya To Ye Namaz Nahin Hui Ise Dobarah Padhein. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—