Masail

Aqeeqah ke masail

MASLAH:- Aqeeqah ke liye 7wa din behtar hai aur 7we din a karein to jab chahein kar sakte hain sunnat ada ho jaayegi. n(Bahar e shari’at) MASLAH: Ba’az e kaha Hai ke 7wen din, ya 14wen din, ya 21wen din. Yani 7 din ka lihaz rakha jaaye, ye behtar hai aur yaad a rahe to ye kare ke jis din bachcha paida hua us din ko yaad rakhein. Usse ek (1) din pahle wala din jab aaye to woh 7wa din hoga. Maslan juma ko paida hua to jumeraat 7wa din aur saneechar ko paida hua to juma 7wa din hoga. Pahli soorat me jis jumeraat ko aur dosri soorat me jis juma ko aqeeqah karega us mein 7wen din ka hisaab zaroor aayega. n(Bahar e shari’at) MASLAH:- Ladke ke aqeeqah me do (2) bakre aur ladki me ek (1) bakri zabah ki jaaye. Ladke me arr Jaanwar aur ladki me maadah munasib hai aur ladke ke aqeeqah me bakriyaan aur ladki me bakra kiya jab bhi harj ahin. n(Bahar e shari’at) MASLAH:- Aqeeqah me gaaye zabah ki jaaye to ladke ke liye do (2) aur ladki ke liye ek (1) hissa kaafi hai. Yani 7 hisso me 2 hisse, ya 1 hissa. n(Bahar e shari’at) MASLAH: Gaaye ki Qurbani hui usme aqeeqah ki shirkat ho sakti hai. n(Bahar e shari’at) MASLAH:- Bachcha ka sar mundne ke ba’ad sar par zafraan pees kar laga dena behtar hai. n(Bahar e shari’at) MASLAH:- Aqeeqah ka Jaanwar unhi sharaait ke saath hona chahiye jaisa Qurbani ke liye hota hai. Uska gosht fuqara aur azeez o qareeb o dost o ahbaab ko kachcha taqseem kar diya jaaye. Ya paka kar diya jaaye, ya unko bataur ziyaafat o dawat khilaya jaaye ye sab sooraten jaayez hain. n(Bahar e shari’at) MASLAH: Behtar ye hai ke uski haddi a todi jaaye. Balke haddiyo par se gosht utaar liya jaaye, ye bachcha ki salamati ki ek faal hai aur haddi tod kar gosht banaya jaaye is me bhi harj ahin. n(Bahar e shari’at) MASLAH: Gosht ko jis tarah chahein paka sakte hain. Magar meetha pakaya jaaye to bachche ke akhlaaq achhe hone ki faal hai. n(Bahar e shari’at) MASLAH: Ba’az ka ye qaul hai ke siri paaye hajaam ko aur ek (1) raan daai ko de, baaqi gosht ke teen (3) hisse karein, Ek (1) hissa fuqara ka ek (1) ahbaab ka aur ek (1) hissa ghar wale khaayein. n(Bahar e shari’at) MASLAH: Kul gosht ghar ke liye rakh liya, to isme bhi harj ahin. MASLAH: Awam me ye bahut mashhoor hai ke aqeeqah ka gosht bachche ke maan baap, dadi, dada, ani, ana a khayein, ye mahaz galat hai iska koi suboot ahin. n(Bahar e shari’at) MASLAH: Ladke ke aqeeqah me do (2) bakriyo ki jagah ek (1) hi bakri kisi e ki to ye bhi jaayez hai. n(Bahar e shari’at) MASLAH: Ba’az log shadi wagairah ke moqa par gaaye ya bakriyaan gosht ke liye zabah karte hain. To usme aqeeqah ki iyat bhi kar lete hain. Isme harj ahin aur jin logo ki taraf se aqeeqah kiya unki taraf se aqeeqah ki sunnat ada ho jaayegi . MASLAH: Baa’z ka wahi hukm hai jo Qurbani ki khaal ka hai apne sarf me laaye, ya masakeen ko de, ya kisi aur ek kaam masjid, ya madarsa me sarf kare. n(Bahar e shari’at) MASLAH: Aqeeqah me Jaanwar zabah karte waqt Aqeeqah ki dua padhi jaati hai. Aqeeqah ki dua padh sakte hain aur yaad a ho to bagair padhe bhi zabah karne aqeeqah ho jaayega. n(Bahar e shari’at) BOOK NAME – FAZAAIL O MASAIL E EID UL AZHA O QURBANI n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button