Masail

Itikaf (Ehtekaaf) ka bayan

Hadees? Ummul Momineen Siddiqa Radiyallahu T?aala Anha Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah ﷺ SallalLaahu Ta’ala Alaihi Wasallam Razmzan Ke Aakhri Ashra (Aakhri 10 din) Mein Etikaf Farmaya Karte. n(Bukhari, Muslim) Hadees? Hazrate Abdullah Ibne Abbas Radiyallahu Ta’ala Anhuma Se Riwayat Hai Ke Huzoor Sallallaahu Ta’ala Alaihi Wasallam Etikaf Karne Wale Ke Baare Mein farmaya Woh Gunaahon Se Baaz Rehta Hai Aur Nekiyon Se Use iss Qadar Sawab Milta Hai. Jaise Usne Tamaam Nekiyaan Ki. n(Ibne Maajah) Hadees? Hazrate Husain Radiyalllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai ke Huzoore Aqdas Sallallaahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Jisne Ramzan Mein 10 Dino Ka Etikaf Kar Liya To Aisa Hai. Jaise 2 Hajj Aur 2 Umrah Kiye. n(Baihaqi) Masla? Masjid Mein Allah Ke Liye Niyyat Ke Saath Theherna Etikaf Hai Aur Uske Liye Musalman Aaqin (Aql Wala) Hona Aur Janabat (Napaaki) Aur Haiz Aur Nifaas Se Paak Hona Shart Hai, Baalig Hona Shart Nahin. Etikaaf Ki 3 Qismein Hai. 1) Wajib 2) Sunnate Mu-akkida 3) Mustahab 1) Etikaf-e-wajib Ye Mannat Ka Etikaf Hai Jaise kisi Ne Mannat Maani Ke Fulah Kaam Ho Jayega. To Mai 1 Din Ya 2 Din Etikaf Karuga To Ye Etikaf Wajib Hai. Iska Poora Karna Zaroori Hai. Etikafe Wajib Ke Liye Roza Shart Hai. Bagair Roza Ke Saheeh Nahin. 2) Etikaf-e-Sunnate Mu-akkida Ye Ramzan Ke Poore Ashraye Aakhira Yaani Aakhiri 10 Din Mein Kiya Jaaye. Masla? 20?svi Ramzan Ko Suraj Doobte Waqt Etikaf Ki Niyyat Se Masjid Mein Maujood Ho Aur 30?svi Ko Suraj Doobne Ke Baad Ya 29?svi Ko Chaand Hone Ke Baad Nikle. Masla? Agar 20?svi Taarikh Ko Baad Namaz-E-Magrib Etikaf Ki Niyat Ki To Sunnat-e-Mu-akkida Adaa Na Hogi. Masla? Ye Etikaf Sunnat-e-Mu-akkida Kifaya Hai ke Agar Sab Chhodh de to Sab Pakre Jayein Aur Agar 1 Ne Bhi Kar Liya To Sab Choot Jaayein. Masla? Iss Etikaf Mein Bhi Roza Shart Hai. Magar Wahi Ramzan Ke Roze Kaafi Hai. 3) Etikaf-e-Mustahab Etikafe Wajib Aur Etikafe Sunnat-e -Mu-akkida Ke Alaawa Jo Etikaf Kiya Jaaye Wo Mustahab Hai. Etikafe Mustahab Ke Liye Roza Shart Nahin, Ye Thodi Der Ka Bhi ho Sakta Hai. Masjid Mein Jab Jab Jaaye Iss Etikaf Ki Niyat Karle Chahe Thodi Hi Der Masjid Mein Rehkar Chala Aaye Jab Masjid Ke Bahar Aa Jayega Etikaf Khatm Ho Jayega Aur Uski Niyyat Ye Hai. Urdu Mein Iss Tarah Kahein Maine- Allah Ke Waaste Etikaf-e-Mustahab Ki Niyat Ki. Masla : Mard ke Etikaf ke liye masjid zaroori hai. Masla : Aurat apne ghar ki Uss jagah Mein Etikaf kare jo jagah Usne amaz ke liye mukarrar kar rakhi ho. Masla : Agar aurat e amaz ke liye koi jagah mukarrar Nahin Kar rakhi hai to ghar Mein etikaf Nahin kar sakti. Albatta agar iss waqt yaani jab ke etikaf ka irada kiya kisi jagah ko amaz ke liye khaas karliya to Uss jagah etikaf kar sakti hai. Masla: Aurat ke liye ye mustahab hai ke ghar Mein amaz padhne ke liye koi jagah mukarrar karle aur Use paak aur saaf rakhe. Masla: Mutakif (Etikaf karne wala) ko masjid se bagair uzr ikalna haram hai. Agar ikla to Etikaf toot jaayega, chaahe bhool kar hi ikla ho jab bhi. Masla: Aurat agar apne Etikaf ki jagah se ikli to Etikaf jaata raha, chaahe ghar hi Mein rahe. Masla : Mutakif (Etikaf karne wala) masjid hi Mein khaaye peeye soye in Umoor ke liye masjid se bahar hoga to Etikaf jaata rahega, magar khaane peene Mein yeh Ehtiyaat lazim hai ke masjid aaluda a ho. Masla : Mutakif ke siwa aur kisi ko masjid Mein khaane peene sone ki ijazat Nahin aur agar yeh kaam karna chaahe to Etikaf ki Niyat karke, masjid Mein jayein aur amaz padhein ya zikr-e-ilahi kare phir yeh kaam kar sakta hai. Masla: Mutakif a chup rahe a baat kare balki quran-e-majid ki tilawat hadees ki Qeerat aur durood sharif ki kasrat kare, ambiya wa auliya wa saaleheen ke halat padhe. Masla: Etikaf jis wajah se bhi toote Qasdan ya bila Qasd baharhaal qaza wajib hai. Masla: Sunnat-e-muakkida Etikaf agar todha to jis din todha faqat Uss ek (1) din ki qaza hai poore das (10) dinon ki qaza wajib Nahin. Masla : Agar afl Etikaf todh De to iski qaza Nahin. n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button