Masail

Hazrat Baag-E-Fidak Maangne Rasool (?) Ki Beti.

Hazrat Abu Bakar Siddik (RadiAllahu Ta’ala anhu) Ke Adalat Me Gayi. Toh Unhe Haq Kyu Na Mila. Agar Beti Rasool ﷺ (?) Ki 4 Hai. To Haq Mangne Ek Hi Kyu Gaye? Agar Beti Rasool ﷺ (?) Ki 4 Hai. To Kisi Aur Beti Ke Bachche Kyu Nana Ke Godh Me Nahi Khele? Agar Beti Rasool ﷺ (?) Ki 4 Hai. To Kisi Aur Beti Ke Bachche Karbala Me Nana Ki Shariyat Bachane Kyu Na Pohoche? Jawab: Ye Rafizio Ki Mann Ghadat Riwayat Hai Ke Hazrat Fatimatuz Zahra Hazrat Abu Bakr رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Ke Paas Baag E Fidak Ka Mutaalba Karne Gayin Aur Aapne Na Di. Balke Ahadees Se Sabit Hai Ke Huzoor ﷺ Ne Sayyeda Ko Baag E Fidak Na Diya. Tafseel Ke Liye Fatawa Faizur Rasool ﷺ Jild 1 Safah 91 Ka Mutaala Karein. Huzoor ? Ke Aur Sahebzadio Se Jo Aulaad Huin Un Ka Inteqal Bachpan Me Ho Gaya. Yaani Aur Kisi Sahebzadi Se Huzoor ﷺ Ke Nawase Itni Umr Ko Na Pohche Jo Godh Me Khelte. Aur Isi Tarah Waqia E Karbala Ke Waqt Bhi Koi Maujood Na The. n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button