Kya nabi e Karim ? ne apni aankho se Allah ????? ko dekhe sahi Hadith aur Al Quran ke mutalik
Jawab: Hadrat Ikramah Radi-Allahu Ta’ala Anh Bayan karte hain ke Sayyedna Abdullah ibn Abbas Radi-Allahu Ta’ala Anhuma e Farmaaya: Hadrat Sayyedna Muhammad ﷺ Mustafa ﷺ ? e apne Rab ka Deedar kiya hai. Main e Arz kiya: Kya Allah Ta’ala Ne ye Nahi farmaaya Nigaahein uska Ihaata ahi kar sakteen Aur wo Nigaaho ka idraak o ihaata karta hai? To Hadrat Abdullah ibn Abbas Radi-Allahu Ta’ala Anhuma e farmaaya: Tum par ta’jjub hai! Jab Allah apne us Noor ke sath Tajalli farmaaye jo uska gair mutanaahi Noor hai aur beshak Sayyedna Muhammad ﷺ ? e apne Rab ka do martaba deedar kiya hai. n(Tirmizi, umdatul qari sharah bukhari, tafseer ibn e kaseer, subul ul huda warrishad, mustadrak ala assahihain, musnad ahmad mu’jam e kabeer, tafseer ibn abi haatim, surah an’aam) Hadrat Abdullah ibn Abbas Radi-Allahu Ta’ala anhuma e Bayan farmaya ke Hadrat Rasoolullah ﷺ ? e farmaya: main e apne Rab ka Deedar kiya. (Musnad ahmad) Hadrat ibn e Abbas Radi-Allahu Ta’ala Anhuma se Riwayat hai ke Allah Ta’ala e Hadrat ibrahim عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ ko khullat aur Hadrat moosa Alaihissalam ko kalam aur Sayyed e Alam Muhammad ﷺ ? ko apne deedar se imtiyaz bakhsha (salawatullahi alaihim ajma’een). Ka’b e farmaya ke Allah Ta’ala e Hadrat Moosa alaihissalam se do baar kalam farmaya aur hadrat Muhammad ﷺ mustafa ﷺ ? e Allah ta’ala ko do martaba dekha. Tirmizi Yahan chand baaton ka lehaaz rakhna zaruri hai. Ek ye ke Hadrat Aisha Siddeqah Radi-Allahu Ta’ala Anha ka Qawl Nafi me hai. Aur Hadrat ibn e Abbas Radi-Allahu Ta’ala Anhuma ka qawl isbaat me hai Aur Musbat Muqaddam hota hai. Kyu ke Nafi karne wala kisi cheez ki afi us waqt karta hai ke Usne ahi suna Aur musbit isbaat is liye karta hai ke usne suna aur jana. To ilm musbit ke paas hai. Dosri baat ye ke hadrat ummul momineen Aisha Siddeqah radi-Allahu Ta’ala anha e ye kalam Huzoor ﷺ se aql ahi kiya. Balke Khud Aayat se istembaat farmaya Nigaahein us (Allah) ka ihaata (gher) ahi kar sakti. Yahan par Ihaata (gherna) ki Nafi hai. Ruyat (dekhne) ki afi ahi hai. Sahih yahi hai ke Huzoor ﷺ Deedar e ilahi se musharraf farmaye gaye. Muslim shareef ki hadees e Marfoo’ se bhi yahi saabit hai. Hadrat ibn e abbas Radi-Allahu Ta’ala Anhuma bhi isi par hain. Muslim ki hadees hai Huzoor ﷺ e farmaya ke “mai e apne Rab ko apni Ankh aur apne dil se dekha”. Hadrat Hasan Basri Radi-Allahu Ta’ala Anh Qasam Khaate the ke Huzoor ﷺ e shab e meraaj apne Rab ka deedar kiya. Hadrat imam Ahmad e Farmaya ke Huzoor ﷺ e apne Rab ko dekha, usko dekha, usko dekha. Imam saheb Ye Farmaate rahe yahan tak ke unka saans toot gaya. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—