Masail
Hazrat Islami Ehtebar Se Ek Bachcha Balig Kab Hota Hai. (Kitne Saal Ka) Ki Uspar Qurbani Aur Bhi Dusre Deeni Sutoon Wajib Ho
Jawab: Jab Ke Alamat E Buloog Zaahir Ho Jaayein. Yaani Baalig Hone Ki Jo Alamatein Hain Un Me Se Koi Pa Li Jaaye. Jaise Bagal Ke Baal. Mu E Zer E Naaf. Monch, Darhi Wagairah. Ya Ehtelaam Ka Hona. Agar Koi Alamat Zahir Na Hui. To 15 Saal Ki Umr Me Baalig Maana Jaayega. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—