Masail

Kya Ye Baat Kehna Durust Hai Ke Kisi Dusre Mazhab Ko Bura Na Kaho.Unka Adab Karo Unki Izzat Karo.

Kya Unki Izzat Karna Sahi Hai. Na Shariyat Ke Hisab Se Hadith Ke Hawale Se. ANSWER Jo Baatil Mazaahib Hain Unhe Bura Nahi To Aur Kya Kaha Jayeg. Magar Galiyaan Dene Se Mana Kiya Gaya Ke Qur?an E Pak Ka Irshad Hai. Aur Unhe Gaali Na Do Wo Jin Ko Wo Allah Ke Siwa Poojte Hain Ke Wo Allah Ki Shan Me Be Adabi Karenge Zyadti Aur Jihalat Se. Maf?hoom Ye Hua Ke Un Ke Baatil Khudaao Ko Agar Tum Gaali Doge To Wo Dushmani O Adaawat Me Allah Ko Gaali Denge. Lehaza Ye Kehna Ke Sab Mazhab Sahi Hain Aur Un Ki Izzat Karni Chahiye Ye Bada Sakht Jumla Hai. Aisa Kehne Waala Tauba Kare. Haan Unhe Gaaliyaan Na Di Jaayein. n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button