Masail
Gharo Me Kuch Keedhe Makode Hote Hai Jaise Macchar, Cockroach, Chuhe Wagaira.
Jisse Kuch Log Darte Bhi Hai. Ab Usse Maara Jaaye. To Iss Fel Ko Zulm Kaha Jaayega Ya Nahi? Kya Ye Fel (Gunah E Kabira Ye Sagira) Kehlayega? Jawab: Jo Izaa Dene Wale (Nuqsan Pohchane Wale) Janwar Hai Un Ke Maarne Par Gunah Nahi. Isi Tarah Jinhe Khana Halal Hai, Unko Maarna Jaayez Hai. Jaise Tiddi Halal Janwar Hai, Use Khane Ke Liye Maar Sakte Hain Aur Zarar Se Bachne Ke Liye Bhi Use Maar Sakte Hai. Chunti (Ant) Agar Nuksan Pohchati Hai. To Maarne Me Harj Nahi, Warna Makrooh Hai. Ju (Jo Baalo Me Hote Hain) Ko Maar Sakhte Hain, Agarche Usne Kaata Na Ho. Khatmal Ko Marna Jaayez Hai, Ke Ye Takleef Deh Janwar Hai. Aise Chuha Wagaira. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—