Masail
Baaz log namaz mein sajde me jaate waqt apne dono haatho se shalwar ya kurta upar karte hai aur phir sajde me jate hain.
Kya aisa kar sakte hain? Namaz ho jayegi ? Aur agar Imam sahab bhi har rakat me karte hai. Toh kya unke peeche padhne waalo ki amaz mein koi karahat toh ahi hogi? Jawab: Agar waaqai wo bila zarurat e sharaiyyah dono hatho se kapra samet’ta hai to Namaz makrooh e Tahrimi wajibul iaada hogi. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—