Masail
Zaid Ne Ek Aadmi Jo Ki Dusri Jamaat Wala Tha Usse Pucha Ke Tum Namaz Ke Waqt Topi Kyu Nahi Pehente?
Uss Aadmi Ne Jawab Me Kaha Ke Topi Zaruri Nahi Hai. Jo Log Hajj Pe Jaate Hai. Wo Log Bhi Nahi Pehente Aur Unki Namaz Bhi Hojati Hai. Is Masle Ke Baare Me Bataye Jawab : Hajj Ya Umra Ke Dauraan To Sile Kapre Bhi Nahi Pehne Jaate. To Wo Shaks Bhi Yu Hi Hamesha Be Sile Kapre Pahen Kar Rahe. Baher Haal! Aam Taur Par Namaz Me Topi Na Pehnna Namaz Ke Adab Ke Khilaaf Bhi Hai Aur Sunnat Ke Khilaaf Bhi Aur Ye Najaayez Hai, Aur Agar Namaz Ko Haqeer Jaan Kar Parhta Hai Topi Nahi Pahenta To Kufr Hai. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—