Masail
Istinja karne ke kuch der ke baad bhi katre nikalte hai.
Kya isse apaak ho jate hai aur kapde ka kya hukm hai. Har baar aisa hota hai Agar Istinja kiya aur wazu bana liya, phir ehsas hua ki katra gir gaya. To kya kare Namaz Padhe, ya phir se wazu banaye. Jawab: Agar peshab kar lene ke baad bhi kuch qatre aate hain. To wo bhi apaak hain aur us se wuzu bhi toot jayega. Lehaza jism aur kapde ko paak o saaf kiya jaaye. Agar ek dirham lag jaaye, to kapda, ya jism bhi apaak ho jayega. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—