Masail
Maghrib me 3 rakat ki bajaye galti se 2 rakat Padli or salam pher liya fir yaad aaya ke maine sirf 2 rakat padi hai.
To kya karna chahiye 3 rakat dobara padhe ya 1 rakat padh kar sajda E Sahw kare? Jawab: Do rekaat pe salam pherne ke baad agar Koi aisa kaam ahi kiya jo munaafi e amaz ho, to wo baqiya ek rekaat puri kare aur akhir me sajda e sahw kare. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—