QABRISTAN ME ABHI JO RASTA ZIMMEDARO NE BANA RAKHA HAI PEHLE WAHA PAR BHI KABRE THI
KUCH SALO PAHLE. MAGAR AB WAHA RASTA HAI OR USSE GUZAR KAR HI MAYYAT KO DAFNA NE KE LIYE LE JANA PADTHA HAY. US RASTE PAR CHALNA KAISA HAI. Jawab: Agar Waaqai jo aya Raasta banaya hai, wahan Qabrein thi. Agarche bahot purani aur boseeda, to wo raasta banana, ajaayez o haraam hai. Us par chalna firna, Baithna, sona, Namaz e Janaza parhna Jaayez ahi. Kyuke us raaste par chalna firna, Namaz wagaira parhna dar asl Qabr par chalna firna, Namaz wagaira parhna hoga. Hadees Shareef me hai Rasool ﷺ e Akram ? farmaate hain n”Mujhe Aag ya Talwaar par chalna Qabr par chalne se zyaada pasand hai”. Ibn e Maajah Huzoor Sadrushshariah Badruttariqah Allama Muhammad ﷺ Amjad Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Alaihir Rahmah war Rizwaan Farmaate hain. n”Qabristan me jo Naya Raasta ikala gaya usse guzarna Na Jaayez hai Khwaah aya hona use Ma’loom ho ya uska Gumaan ho”. Bahar e Shariat BaHawaala Alamgeeri o Durr e Mukhtar Jab Qabristan me aye Raaste ka sirf Gumaan hone par is par chalna firna, uthna, baithna jaayez ahi. To jis Raaste ke baare me ye yaqeen ho ke ye Qabro ko Mismaar karke banaya gaya, to us par chalne firne baithne wagaira par kis Qadr sakht Hukm hoga. Lehaza jo aya raasta Qabro ko mismaar karke banaya gaya hai, use hargiz istemal a kiya jaye. Wa-Allahu Ta’ala A’lam n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—