Namaz E Janaza ka tarika?
Namaz e janaza me 2 farz hai. t
Qayam (khade hona) t
4 Takbeer kehna Namaz e janaza me 3 sunnatein hai. t
Sana padhna t
Durood E Ibrahim عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ Padhna t
Namaz e janaza ki dua padhna Namaz e janaza ki iyat Niyat ki maine amaz e janaza farz e kifaya ki sath 4 takbeero ke Waaste Allah Ta?ala ke dua is Mayyat Ke liye peeche is imam ke muh mera kaaba shareef ke taraf. Pehli takbeer Niyat Ke Baad Jaise hi imam Jaise hi pehli takbeer kahenge Allah hu akbar kehte hue hath bandna hai aur Sana padhna hai. Dusri takbeer Jab imam dusri martaba Allah hu akbar kahe to bagair hatho ko uthaye durood e ibrahim عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ padhna hai. Teesri takbeer Jab imam teesri martaba Allah hu akbar kehe to bagair hatho ko uthaye amaz e janaza ki dua padhna hai. Chauthi takbeer Jab imam chauthi martaba Allah hu akbar kahe to dono hatho to Chhod kar salam phere. Note: Sunnat tarika yahi hai ke apne dono hatho ko Chhod kar salam phere. Namaz e janaza ki dua Namaz e janaza mein padhi jane wali dua Allahummighfir lihayyina wa mayyitina wa shahidina wa gha’ibina wadhakarina (wazakrina) wa unthana ( wa unsana) wa saghirina wa kabirina Tarjumah : Ya Allah maghfirat farma hamare zindo ki aur hamare murdo ki aur hamare hazir ki aur hamare gayab ki aur hamare mardo ki aur hamari aurato ki aur hamare choto ki aur hamare bado ki. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—