Masail
Ek Shakhs Hai Jo Bismilla Sharif Advertisement Ka Pamplet Mein Print Karwa ta Hai
Aur Agar Koi wo Pamlet ko Phenk Deta Hai to Bismilla Sharif Ki Be-Adbi Hogi. Agar Usko Iske Regarding ek Shaks e Samjaya to usne ye Jawab Diya ke Nabi ﷺ e Karim ? e Kafir ko Khat Likha to Aap ? Bismilla Sharif Likhte. To Hame bhi Chahiye ke har Kaam se Phle Bismilla Sharif Likhe. Jawab: Bismillah Sharif Beshak Har Kaam ke shuru me Behtar hai. Magar uska Ehteram o Ta’zeem bhi Wajib Hai. Isi liye Baitul Khala me Ise Parhna Mana Hai. Ab Agar Ma’loom hai Ke is Kagaz Ko Pheka Jaayega, to us par Likhne Wala Gunahgar Hoga. Jisne Daleel me Khat ka Zikr Kiya usme us Khat ki Behurmati Nahi Hui aur Agar Kisi e ki to usse Jung Tak ki Gayi. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—