Masail
Nabi Mein Aur Rasool Mein Kya Farq Hai ?
Quran Aur Hadith Ki Roshni Mein Jawab Mile Toh Zyada Afzal Hoga Please. Mufti Sahab Baraye Meherbani Jawab Inayat Farmaye. Jawab: Nabi Us Bashar (Insan) Ko Kehte Hain. Jise Allah Ta’ala Ne Logo Ki Hidayat Ke Liye Wahi Bheji Ho, Aur Rasool ﷺ Bashar Hi Ke Sath Khas Nahi. Balke Malaika (Farishto) Me Bhi Rasool ﷺ Hain. Almo’taqad Me Zikr Hai Ke Mash’hoor Ye Hai Ke Nabi ﷺ Wo Hai Jis Par Wahi Bisshara Ho, Aur Agar Tableeg Ka Bhi Hukm Ho to Wo Rasool ﷺ Hai. Wa-Allahu Ta’ala A’lam n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—